Saturday, April 4, 2009

Kya mai wohi hu?


This is again written last year...don't remember the occasion...may be before going to hyderabad....

Dekhti hu aaine me jab
Khud ko
Sochti hu
Kya mai wohi hu...

Raste mei tum jab
Mile the
Humraahi hum dono the
Manzil tha kya ek hi?

Kitne badal chuke hai hum?
Samajh to nahi aata
Jab se dil me tum rehne lagi
Hum to ho gaye lapata.

Kya tum hume kabhi chor
Gaye akele?
Kya tumne mera dil tora?
Nahi meri jaan tumne to mujhe
Khoyi hui zindagi se jora.

Par chandni bhi kho jaati hai
Badal mei taare chup jaate hai
Baarish ki boondein chaat ke upar
Mujhe meri dost ki yaad dilate hai.

Kyu ke chand mei bhi tum
Muskuraate ho
Hawah ke jhoke banke
Mujhe behlaate ho.

Raat mei gehri neend mei
Kya liya kabhi unka naam?
Mere andhere ki roshni kahan gayi
Aansu bas takiye pe chupa liya yuhi.

Pata nahi kitne likhe hai paigam unko
Yun dil hi dil mei
Kabhi bheje nahi the unko
Jo hoth mei ghee lagake sote hai
Aur neend mei nanhe fariste lagte hai

Wohi jinka muskaan meri tarah hai
Hazaar volt ki lagti hai
Par gussa bhi wah wah hai
Twister typhoon cyclone ka jhoka hai
Aur rote jab hai
Humko bhi rulaate hai
Aur humko takleef hoti hai…

Woh haamare dost hai
Woh haamare behn hai
Woh hamaara pyar hai
Woh dil ki chayan hai…

Jab bhi unka naam liya hai
Jab bhi unko yaad kiya hai
Har mushkil asaan huyi hai
Manzil humko mil bhi gayi hai

Bas yeh dua hum karte hai
Hum hamesha yuhi paas paas rahe
Baat naa kare …naa hi mile
Bas apne hi kaam mei maan lagaaye

Kabhi kabhi mile
Aur khub ladai kare,
Fir gale milke bichar jaaye.
Kyu ke tumhaare bina mai jee nahi sakti
Naa jaane kyu tumse mai itna pyar karti
Kuch bhi... sirf aapke liye
Bin aapke hum kaise jiye?

No comments: