Tuesday, June 8, 2010

'Sau Shabd'

Ek sau saal gayi aap se milne mei...
Aur sau just to say...
Pata nahi kya bol gaye
Kuch sahi bole zyada galat bole
Sau pal bhi guzaare nahi saath mei
Sau janaamno ki kwab dekh liye
Rista kabhi to jura nahi
Dil tuta hai sau tookron mei
Sirf tasveer yaadon ke sahaare
Sau baar mare...jiye nahi
Sau sau din jo beech mein guzre
Sirf pyar kiye aur kuch kiye nahi.
Kuch bhi nahi mila unse...
Dard to bahut mila
Pyar kiya to is dard se hi to kiya,
Is dard ke bina sau saal kya...ek din bhi nahi jiyaa.
Sau shabd hi hai hammare paas
Tofa hai kabool kare,
Yeh shabd hai aadat meri zindagi ki
Yeh shabd meri maut bhi hai...
Sau sau baar marte hi
Sau baar jite hai isi shabd se
Yeh shabd mere khoon mei behte hai
Yeh shabd mere dhadkan mei rehte hai
Yeh shabd sau baar ek pal mein lete hai
To aaj aapko wohi shabd ka tofa dete hai
Woh shabd aap ko bhi azeez hai
Ka ii baar aapne bhi woh shabd likha hai...
Mere haath mei bhi aapne kabhi likha tha...
Woh shabd
Kya aapko nahi hai pata?
Apko aap hi kaa naam ka aaj hum de gaye tofa.

No comments: